(tu aam sahi)
तू आम सही
तू कुछ नही है ये वहम है
ऐ जुल्म ओ सितम के आदी
ये सब ज़ालिम तुझसे है
तू कब तक इनको पालेगा
इन सापों को कुचल दे
नई नस्लों को अकल दे
आजादी को अज़ल दे
तू क्या है ये बतला दे
इनकलाब अब के ला दे
तू आम सही पर अहम है
तू कुछ नही है ये वहम है ||
Poet : Maqbool Saleebi
Movie: Chambaili
Maqbool is apparently a sweeper in Karachi who was just found by these independent film makers.
P.S : Actually this poem was nowhere on the internet, after much difficulty one of our admins found it, and thus we decided that it should be given a space on our website
Now Enjoy,
The Lyrics Of the Song where this poem got space :
Inqilaab (Reprise)
YE MULKE KHUDADAD KI KAHANI HAI JO BANA TO KHUDA KAY NAAM PAR THA
MAGAR YAHAN FIRAUN HUKUMAT KARTE AE HAIN
JUB SE ANKH KHULI HAI SUNTE ARHE HAIN MULK NAZUK DAUR SE GUZAR RAHA HAI
MAGAR AB BUS
Utho mere mulk kay jawanon utho inqilaab ka waqt hai aya
Payame mashriq se paigham yeh aya hai
Teri jumbish se qasre sultan yeh ghabraya hai
uthooo
Zulmat ki qaid se azadi milaygi
Tere gunjte naron ne tufaan ko sharmaya hai
uthooo
tu aam sahi par eham hai, tu kuch nhi yeh weham hai
Tere khoon ki garmi se heran kaleesa hai
Tere qalm se eewanon mia hungama barpa hai
Uthooo
Azad hawaon mai parwaz bhi milaygi
Tere gunjte naaron se zanjeerain sub totaingi
Utho mere mulk kay jawanon utho inqilaab ka waqt hai aya
Zaat paat mazhab biradri mai band
Rasm rivaaj reet mai dafan
Mai sahi ya tu
Khudi mai doob kar bekhudi ko paya hai
Zulmat ki mauj se sahil takraya hai
Fursat ki neend se bedari milaygi
Mere khet ki gandum bhi sona ban kar chamkaygi
Seeno mai bijli hai sultan pe larza hai
Tere zor e bazu se zanjeerain sub totain gi
Waqt hai ab waqt hai waqt hai aya
Anghota chaap kehte hain na tumko
To laga do anghoota badal dalo taqdeer is mulk ki
Utho mere mulk kay jawanon utho inqilaab ka waqt hai aya
tu aam sahi par eham hai, tu kuch nhi yeh weham hai